na dekha suraj main usko,
na dekha taaron main usko,
chand si hai meri mehbooba,
chandni main hai dekha usko!!

uske pyaar mein main hua deewaana,
machalta raha, jaise shamma ke pas parwaana,
uske pyaar mein hai mera dil dooba,
jald hi ab uske yeh hai bataana!!!

samajhne ka bahut waqt de diya,
pyaar jataane ki karenge ab kriya,
nahin hone waala koi ajooba,
baat kar ke kahenge ishq ke samundar main tair liya!!

kaam ke is jhamele main,
fase hain is zindagi ke mele main!!
kuch tanha se, kuch mayoos se,
kabhi haste se, kabhi khilkhilate se!!

kuch ajeeb si kasak hoti hai dil mein,
dastaan aisi yaad aati hai zubaan pe!!!
woh pal, woh tanhai, woh shor,
waqt hi kuch aisa tha, ab ho rahe hain hum bore!!

ek aisi hai daastan bani,
kuch jaani, kuch anjaani!!
dard bhar jaati hai dil mein,
garmiyon mein, sardiyon mein!!

akele, tanha baithe hain hum,
yaad aa rahe hain woh pal!
inme humne mehsoos kiye the gham,
dil main jo macha gaye hulchul!!

hum se izhaar kiya nahin jaata,
beete din humein abhi bhi hain yaad!
raat ko theek so nahin paata,
shayad chain ayega marne ke baad!!

din ke ek ek pal ginte hain,
waqt kat ta nahin!
kyun itna chahte hain unhein
yeh shayad pata unhein bhi nahin!!

kabhi to nazre milayenge,
dil ke armaan poore honge hamare!
tab khushi se hum jagmageinge,
jaise madhu se mast bhanwre!!

Tum

tumhari adaon pe lakhon hain deewane,
patate tumhein kahin nikal na jaye zamane!!
khoobsurati ka nayab ajooba ho tum,
ret ki tarah haat se fisal jaati ho tum!!

chanchal machli sa tumhara yeh mann,
na jaane kitno ko de gaya hoga yeh darshan!!
katilana muskaan ho deti,
har ladke ka dil ho machalati!!!

kyun nahin keh pata unse ke mujhe kitna pyaar hai?
jaan se bhi pyaara mujhe woh insaan hai!!
jata jata ke thak gaye,kyun samajhne se unhein inkaar hai??
kabhi baton baaton main unse takraar hona,
meethi si us muskaan ko chupa lena!!
yahi adaein mujhe unka karti hai deewana!!!
samjha kar bhi dil kyun nahin samajh pata?

Bhool Gaye

junoon ki in hadon ko…
mohabbat ki in rahon ko…
na jaane kab hum paar kar gaye???

dil ki in baton ko…
anjaane jazbaaton ko…
na jaane hum kyun thukra gaye???

ji to karta tha unse kuch kahein…
manzil ke kuch lamhein unse bayan karein…
na jaane hum kyun na kar sake???

aaj in anjaane rahon mein…
waqt ke in pehgamon mein…
na jaane hum kyun hain kho gaye???

labon pe baat aate ruk jaati hai…
dil ki dhadkan dhadak kar ruk jaati hai…
na jaane kyun hum muskurana bhool gaye???

lamba yeh safar hai…
sath na koi humsafar hai…
na jaane kyun hum humsafar saath lena bhool gaye???