Baap ka raaj samajh rakkh hai kya?
Whatsapp ka taaj pehen rakkha hai kya?
Jise dekho har hafte Daughter’s week bana deta hai,
Fokat ka message hai to kya baap ka maal samajh leta hai!

Aaj Daughter’s week, kal biwi chalisa,
Kabhi to aadmi ke man ko de dilasa!
Na koi poochta hai, na koi pehchanta,
Har waqt office aur ghar ka hi Raasta?

Shaadi shuda hai banda,
gale main laga hai faansi ka fanda,
Koi to bulao, Kabhi pyaar se puchkar lete,
Abbey, kutte ko bhi hum se zyada pyaar hai milta!

Rhyming ki aisi ki taisi,
nahin karna hai mujhe rhyme,
saala zindagi ban gaya hai jaise act of mime!
daaru bhi gale se neeche nahin utarti,
saali chadhne se pehle hihai ludak jaati!

Post ke title se kuch nahin hai lena dena,
woh to kuch likhna tha, so likh dala,
Ab aake maarega kya?
Chal hat! mujhe nahin hai ab aur likhna!